Tips & Tricks

Youtube Channel Kaise Banaye | Youtube se paise kaise kamaye

Agar aapke paas youtube channel nahi hai aur aap apna aik youtube channel banana chate hai aur us youtube channel se paise kamana chate hai . to aap sahi post par aye hai qunke es post mein ,mein aapko sekaoga youtube channel kaise banaye aur youtube channel  se paise kamane ke tarike aur mobile se youtube channel banane ka tarika.

Also Read This Post.

 

es time youtube ka istemal dunya mai bohut zyada ho chuka hai kuch loog youtube ko paise kamane ke lea use karte hai aur paise kamate aur kuch loog tafreeh karne ke lea.youtube aik bohut badha plateform hai jis se loog hazaroo dollors kamate hai.

 

agar aap bi apna youtube channel create karke youtube se paise kamana chate ho to aap es post ko read karai jis se aapko future mein fayda hoga aur aap bi hazaroo dollor kama sake ge .

 

youtube aik aisi website hai jise har koi janta hai aur dunya ke 80 percent loog youtube ko use karte hai.youtue zyada tar films,songs,tralers,ko har language mein daikne ke lea loog use karte hai qunke youtube par aapko har language ke videos daikne ko milenge.

 

Youtube dunya mein famous hone ke saat saat ye dunya ki sab se badhi video sharing website hai.youtube par rozana hazaroo videos publish hoti hai jis ka andaza lagana bi mushkil hai.kya aap ne kabi soocha hai ke youtube par videos kaha se ati hai .

 

 

youtube par hamare jaise creater videos banakar youtube par upload karte hai aur paise kamate hai.aaj hum aapko es post mein batainge ke youtube channel kaise banaye ,Mobile se youtube channel kaise banaye ,youtube se paise kaise kamaye.

 

youtube par channel kaise banate hain

Youtube Channel Kaise Banaye⇨ Youtube par aik Channel banana bohut aasan hai.es ke lea aapko google account ki zaroorat hogi matlab Gmail account ki. aapko youtube channel banane ke lea alag kisi account ki zaroorat nahi hogi balke sirf Gmail account ki Zaroorat hogi.

 

agar aap apne Gmail account se youtube channel banana chate hai aur aap ye talash kar rahe hai ke youtube channel kaise banaye to es post to End tak read kare.

 

Step 1 : Visite Website (Youtube.com)

aap apne computer ya pir laptop par kisi bi browser ko open karai and Then search bar mai Type karai (Youtube.com)

 

 

Step 2: Login Gmail Account

Browser ke corner per Sign in hoga sign in par click karai aur apne Gmail Account ko Sign in karai jis Gmail se aap Youtube Channel banana Chate ho.

 

 

Step 3: Tap On Create a Channel

Apne Gmail account ko sign in karne ke baad right side par aik icon nazar aye ga us icon par click karai.us par Click karne ke baad aapko kuch option show hoga jis mai aap (Create a Channel) par click karai.

 

NOTE:Create a channel par click karne ke baad aapko 2 option show hoga (use your name) and second (Use a Custom name) agar aap apne gmail ke naam se youtube channel create karna chate ho to aap 1st option par click kare agar aap aik custom name se youtube channel create karna chate hai to aap second option par click karai.

Step 4:Create your Channel Name

aap jis bi name se youtube channel Create karna chate hai aap us name ko type karai and then aapko neche aik check box nazar aye ga us par tick karai and then Create par Click karai.

Step 5 : Upload a Profile Picture

aapka aik youtube Channel Create ho chuka hai es ke baad aap apne Channel ka Profile picture Select upload karai ya agar aap aik logo use karna chate hai to aap logo upload karai.
 
Logo upload karne ke baad aapko apne channel ka description type karna padhe ga aapne channel ke baare mai kuch type karai jis topic ke related ho aapka youtube channel and then neche scroll karai.
Discription type karne ke baad aapko add links to your sites ka option milega jis se aap apne website ka URL type kar sakte hai .es mai aapko Facebook ,Twiter ,and instagram ka option mile ga jis mein aap apne social accounts ka url type karke apne social accounts ka follow ,like ,badha sake hai.
Note:agar aap apne youtube channel mein step no 5 karna chate hai to aap social links type karke (save and continue) par click karai agar aap ye sab setting nahi karna chate to aap (Set up later) par Click karai.
Es Tarike se aap apne pc ya laptop par youtube account create kar sakte aur aap apne youtube channel par videos ko upload karke videos ko monotize karke paise kama sakte hai. apne pc ya pir laptop ke throw channel create  karne ke baad mai aap ko sikaoga mobile se youtube channel kaise banaye.
agar aapko apne mobile se youtube channel create karna hai to aap es post to jaroor read karai qunke es post ko read karne ke baad aapko future mai bohut fayda hoga .

Mobile Se Youtube Channel kaise Banaye

agar aap bi ye search karte hai ke mobile se youtube channel kaise banaye to aap sahi post par aye hai es mai mai aapko mobile se bi youtube channel create karna sikaonga mai aapko kuch steps batawonga jis ko aap follow karke mobile se youtube channel bana sakte hai.

 

Mobile Se Youtube Channel kaise Banaye:mobile se bi aap kayi tarike use karke mobile se youtube channel bana sakte hai lakin mai aap ko sbse easy tarika batawonga jis se aap apna aik youtube channel create kar sakte hai.

 

Step 1: Mobile mein apne youtube ka application open karai.
Step 2:  Then aap jis bi gmail account se apna youtube channel create karna chate hai us gmail ko sign in kare.
Step 3: aap ne jis jaga se gmail sing in kya ta use logo par click karai.
Step 4: us ke baad aap ko kuch option show hoga jis main aap (your channel) par click karai.
Step 5 : your channel par click karne ke baad aapkoo apne channel ka name choose karna padhe ga jis name se aap youtube channel create karna chate hai and then Create par click karai.
aap ka youtube channel create ho chuka hai agar aap apne youtube channel ka discription write karna chate hai to aap side corner par setting ka gear ho ga us par click karai and then aapko kuch option show hoga jis mai aap apne youtube channel ka discription bi write kar sakte hai aur aap apne youtube channel ka name change bi kar sakte hai.
to es tarike se aap ke sawal Mobile Se Youtube Channel kaise Banaye ka jawab bi aapko ko mail gya aur aap es tarike se mobile se youtube channel create kar sakte hai.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Youtube Se Paise Kaise Kamaye⇨youtube se paise kamane ke bohut tarike hai aap kisi bi tarike ya pir saare tarike use karke hazaroo dollors kama sakte hai .qunke youtube aik bohut badha videos sharing platform hai es par rozana hazaroo, lakoo, videos upload hoti hai aur loog us videos ko monotize karke hazaroo dollors kamate hai.

 

youtube Google ka aik video sharing website hai jis ka poora controol bi google ke paas hi hota hai. aapko  youtube mein google adsense ke throw pay karta hai ,google adsense bi google ka aik product hai jis se aapko google aur youtube pay karta hai.

 

youtube mein konse topic par videos banaye yi bi aapka aik question ho sakta hai ,qunke jab aap aik youtube channel banate hai to har kisi ki zehan mai aik baat zaroot ati hai ke konse topic par videos banaye ,to es ka answer bi mai aapko deta hai.aap youtube par kisi bi topic par video bana sakte hai aur youtube se paise kama sakte hai.

 

aap news ,kitchen ,Technology Related, Tips and Tricks ,vlogs ,Tech Related ,Computer and Mobile tips and tricks ,Mobile Reviews ,kisi bi topic par videos bana kar youtube se paise kama sakte hai.

 

Kuch loogo ka ye bi Question hota hai ke Youtube par konse language mai video banaye aur zyada paise kamaye ,to es ka jawab hai ke aap dunya ki kisi bi language ko use kar ke youtube par videos bana kar youtube se paise kam sakte hai .

 

lakin mai aapko praper karoga ke aap ya to English Language ya pir Hindi/Urdu mein apne videos ko banaye qunke youtube par dunya mein  zyada searches english,hindi ,and Urdu mein hota hai,aap agar apni videos ko English Urdu ya pir Hindi mein banayege to aapko zyada income hoga es lea aap apne youtube videos ko English ,Urdu ,ya pir Hindi mein Banaye.

 

youtube se paise kamane ke Tarike

Youtube se paise kaise kamaye : Mein aapko kuch Topics Batawoga jis par aap videos banakar youtube se paise kama sakte hai .agar aapko youtube se paise kamana hai aur en topics ke baare mai jana na to es post ko End tak Read karai qunke es post ko read kane ke baad aap hazaroo dollors kama sake ge , topics neche dye gaye hai.

Youtube par Reviews karke paise kamane ka Tarika

aap youtube par kisi bi company ke product ka review karke youtube se paise kama sakte hai es ke lea aapko apna youtube channel Grow karna padhe ga jis se aap ko loog contact karke apne product ke baare mein batinge aur us company ke saat Deal kar ke us company ke product ka review karege.
jis company ke product ka aapne review kya ta wo company aapko paise pay karenge.es tarah aap kisi bi product ka Review karke aap paise kama sakte hai.

Affiliate marketting ke through youtube se paise kamane ka Tarika

aap kisi bi company ke product ka review karke discription mai affiliate link laga sakte hai aur youtube se paise  kama sakte hai .es ke lea aapko kisi bi company ka affiliate program join karna padhe ga jis par aap apna account bana kar youtube se paise kama sakte hai.
waise to bohut saare companies hai jo aapko affiliat program provide karta hai lakin mai aapko kuch companies ka list provide karta ho jis par aap apna account bana kar affiliate marketting kar sakte hai.lakin es mein jo zyada famous company hai wo amazone associate aur flip kart jis par aap apna account bana kar aap paise kama sakte hai.
  1. Best Affiliate Marketting Companies
  2. Flipkart Affiliate
  3. Amazon Affiliate
  4. vCommission
  5. Admitad
  6. HostGator Affiliate
  7. eBay
  8. Nearbuy Affiliate
  9. GoDaddy Affiliate
  10. MakeMyTrip Affiliate
  11. DGM India
  12. BIGROCK
  13. Optimise
  14. Payoom
  15. Komli

Google Adsense ke Through youtube se paise kamane ka Tarika

aap kisi bi topic par videos banakar apne videos ko monotize kar ke youtube se paise kama sakte hai.google adsense google ka aik product hai jis ka kam hota hai sirf aapko pay karna.lakin aap google adsense ke throw paise kamane ke lea aapko apna youtube channel monotize karna padhe ga.
youtube ko monotize karne ke lea aapko apne youtube channel par 1000 subscribers and 4000 hours watch time ki zaroorat hoga jis ko aap pora karke aapka youtube channel Reviews mai chala jayega .Review ke baad aapka channel agar sucess ho jata hai to aap google adsense ke throw youtube se paise kama sakte hai.

Promtion karke youtube se paise kamne ka Tarika

aap kisi ka youtube channel ko promote karke youtube se paise kama sakte hai jsi ke lea aapko apne about section mein apna contact number dena ho jis par loog aapke saat contact karke aap un logoo ka youtube channel promote kar sakte hai.
aur youtube se paise kama sakte hai lakin es ke lea bi aapko apna youtube channel Grow karna padhe ga us ke baad aap kisi ka youtube channel promote kar sakte hai aur youtube se paise kama sakte hai.

Apne product ko sale karke youtube se paise kamane ka Tarika

aap apne kisi bi product ka review kar ke apne product ko sale kar sakte hai aur youtube se paise kama sakte hai, es ke lea aap ka youtube channel agar grow nahi ho to koyi masla nahi ,lakin agar aapka youtube channel agar acha grow hoga to aap ka product zya sale hoga aur aapko benifit milega. to es Tarike se aap apne product ko sale kar ke youtube se paise kama sakte hai.
Es post mein ,mein ne aapko bataya ke aap youtube channel kaise banaye aur bi aapko sikaya ke aap apne youtube channel se kaise paise kama sakte hai.aur aap ko youtube se paise kamane ke tarike bi es post mein, mein sikaye to Umeed hai aapko ye artical pasand aya ho ga.
agar aapko ye artical pasand aya ho to aap hamare blog ko Subscribe kar sakte hai .agar aapka es post ke baare mein koyi question ho to aap muje neche comment box mein comment karke bata sakta hai, mai aapke har comment ka answer zaroor donga .
THANKS FOR READING THIS POST…….

One thought on “Youtube Channel Kaise Banaye | Youtube se paise kaise kamaye

  • Ahaa, its pleasant conversation on the topic of this piece of writing at this place at this weblog, I have read all that, so at this time me also commenting here.|

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *