PDF ka Full Form Kya hai aur PDF kaise banaye
Agar aap mobile ya pir aik Computer user hai to aap ne PDF ke baare main zaroor suna hoga. PDF aam tawar par use hone wala aik term hai, aur es ke bawajood hum main se bohut saare logoo ko pdf ka full form ke baare main pata nahi hai aur saat main hum main se bohut saare logoo ko PDF ke history ke baare main bi kuch pata nahi.
Agar aapko PDF ke baare main poori information chaiye to aap sahi post par aye ho. es post main, main aapko pdf ka full form, pdf kya hai, pdf ka full form hindi mai in computer, pdf ki history, pdf file kaise banaye aur saat main pdf ke fayde bi batawong jo ke aapko jan,na bohut important hai.
Table of Content
1 PDF full form
2 PDF meaning in hindi
3 PDF kya hai
4 PDF ki history
5 PDF file kaise banaye
6 PDF ke fayde
7 PDF file apne computer se kaise banaye
8 PDF file apne mobile se kaise banaye
9 how to read pdf file in computer
10 jpg aur png ko kaise PDF main convert kare
PDF ka full form hindi me hai (Portable Document Format) PDF file ka istemaal mobile, computer, laptop, ya pir tablet main kya jata hai. agar aap apne computer, mobile, laptop, ya pir tablet mai PDF Format main kisi file ko save karte hai to aap ko es ke bohut saare fayde ho sakte hai jo ke neche post main aap read kar sakte hai aur apne knowledge main aur bi izafa kar sakte hai.
PDF kya hai | what is PDF in hindi
Agar aap computer ya pir mobile user hai to aap ne kayi baar pdf ke baare main suna hoga .agar aapko bi nahi pata ke pdf kya hota hai, pdf ko kaise use kya jata hai ya pir pdf ko use karne ke lea kis cheez ki zaroorat padhti hai to es post main aapko batane wala ho ke pdf kya hota hai (what is pdf in hindi) aur pdf ko kaise use kya jata hai.
to Friends PDF es lea etna zyada famous hai ke PDF format main ap apni deta ko aik jaga se doosri jaga aasani ke saat transfer kar sakte hai. es ke elawa aap aasani ke saat apne deta ko apne computer, laptop, tablet, ya pir mobile main easy save kar sakte hai aur aap ese aasani ke saat read aur print bi kar sakte hai es lea pdf format bohut zyada famous hai.
pdf ka users zyada tar officially documents, legal document, ebook, magazine aur us ke baad product details even hospital lab reports bi pdf format main use karte hai aur aik jagah se dusri jagah assani ke saat pdf file ke madad se Email bi kar sakte hai.
agar aapk kisi website par online padhai karna chate ho ya pir aap government website par apne document ko submet karna chate ho to bi aapko pdf format main aapko apna file submit karna padhega.
zada tar website aapko pdf format main apne file ko submit karne ke lea bole ga aap doosre format main apne file ko submit nahi kar sakte jab tak aap apne file ko pdf main conver na karte. agar aap apne file ko pdf main convert karna chate hai to es ka tarika main neche batane wala ho ,neche post ko read kare.
PDF ki history | History of PDF | When PDF was Created
Portable Document Format (pdf) 1990 ke starting main Adobe system ne developed kya ta, january 1993 main windows aur OS|2 ke conference main mutarif kya gya taa, aur saal 1993 main es ko sihi tarike se istemaal karne ke lea paish kya gya taa.
1990 main Adobe co-founder Dr. John Warnock ne aik khayal ke saat paper to digital karne ke lea aik inqalabi starting kya taa. jis ka naam dya gya ta (The Camelot Project). es project ka maqsad ta ke kisi bi file documents, text file, images, ko digital karne aur asaan karne ke lea banaya gya taa.
1992 main The Camelot Project (PDF) tayaar ho gya ta jo ke aaj poori dunya es par apna poora karobari system chala raha hai aur poori dunya main es ne (pdf) apna aik muqaam hasil kya hai.
PDF kaise banaye? | How to make a PDF file?
Pdf File aap kayi tariko se bana sakte hai, aap apne mobile, computer, ya pir apne mobile ke throw pdf file bana sakte hai.ya par main app ko dono tarike batawoga jis ko aap follow karke aap apne mobile ya pir computer se pdf file bana sakege.
PDF file mobile se kaise banaye | How to make a PDF file by mobile?
PDF file aap mobile se 2 tariko se bana sakte hai, aap kisi application ko download karke apne kisi bi file ko pdf file main convert kar sakte hai.
1.aap play store par jakar (pdf converter) type karke aap ke saamne result main bohut saare applications show ho jayge jis main aap kisi bi aap ko download karke aap apne kisi bi file ko pdf file main convert kar sakte hai.
2.dosra tarika hai aap apne mobile ke chrome browser ko open kare, open karne ke baad agar aapka fila jpg hai to aap google chrome search bar main (jpg to pdf) type karge. agar aapka file png hai to aap search bar main (png to pdf) type karge.
Jis ke baad aapko kuch website show ho jayege aap kisi bi ko open kare, open karne ke baad aap apne file ko upload kare, and then convert to pdf par click kare aap ka file pdf file main convert ho Jaye ga aap apne file ko download and use kar sakte hai.
PDF file computer main kaise banaye |How to make a PDF file by computer?
PDF file aap apne computer se 2 tariko se bana sakte hai yaha par main aapko dono tarike batawoga jis ke throw aap apne kisi bi file ko pdf file main conver kar sakte hai.
1. aap adobe photoshop ke throw apne file ko pdf file main save kar sakte hai aur MS Word ke throw bi aap apne file ko pdf file main convert kar sakte hai.aap neche diye gaye tariko se apne file ko Adobe Photoshop aur MS Word ke pdf file main save ya pir convert kar sakte hai.
-
aap jis bi file ko pdf me convert karna chahte hai us ko aap adobe photoshop ya pir MS Word main open kare.
-
open karne ke baad file Menu par click kare
-
file Menu par click karne ke baad aap ko kuch option show ho jayegi aap save as par click kare.
-
save as par click karne ke baad aap ko kuch option show ho jaye ge jis main aap pdf par click kar ke aapne file ko pdf file main conver kar sakte hai.
2. Dosra tarika hai aap apne computer main kisi bi browser ko open kare, browser ko open karne ke baad aap search baar main type kare.agar aapka file jpg hai to aap search baar main type kare (jpg to pdf) type kare, agar png hai to aap png to pdf type kare and then aapko kuch website show ho jaye ge.
jis ke baad aap kisi bi website ko open kare, open karne ke baad aap apne file ko upload kare, file ko upload karne ke baad aap convert to pdf par click kare aapka file pdf file main convert ho jayega jis ke baad aap us file ko apne computer main download and use kar sakte hai.
How to reduce the size of PDF file?
agar aap apne pdf file ko compress karna chate hai to aap ye steps follow karke apne pdf file ko compress kar sakte ho.apne mobile, computer ya pir apne tablet main kisi bi browser ko open kare, browser ko open karne ke baad aap search baar main type kare (Compress pdf) and then enter kare, enter karne ke baad aapke paas kuch websites show ho jaye ga jis main aap kisi bi website ko open kare.
website ko open karne ke baad aap (upload file) par click kare, upload file par click karne ke baad aap compress par click kare, apka file compress ho jaye ga aap apne computer main save and use kar sakte hai.
pdf ke fayde | Benefits of pdf
Compress your essential files : aap aasani ke saat apne kisi bi file ko compress kar sakte hai .doosre format ke muqable main pdf file jaldi open hota hai .
Scure all your deta : aap apne ksi bi pdf file ko secure bana sakte hai. aap agar kisi ko email, whatsapp, main apne pdf file ko sent karna chate hai to aap us file ko excess karne ke lea aik lemit laga sakte hai.
Easy to Share : pdf file ki sabse achi quality ye hoti hai ke aap es file ko pori dunya main easily share kar sakte hai. pdf ki aik aur adventage ye hai ke aap apne file par aik password set kar sakte hai, aapka file aapke elawa koyi bi nahi open kar sakega jab tak aap kisi ko password nahi bataye.
User-friendly and highly portable : full pdf form aapko suggest karta hai use karne ke lea, qunke ye use karne mein bahut reliable hota hai, aap pdf ko mobile, laptop, tablet ya pir apne computer main easily use kar sakte hai.
Note : agar aapke computer ya pir laptop main Asobe Acrobat Reader nahi hai to aap apne pdf file ko open nahi kar sake ge. pdf file ko open karne ke lea aap ke paas Adob Acrobat Reader hona bohut jaroori hai.
Final Word:
umeed hai ke aapko ye article acha laga hoga es post main, main ne aapko batawa pdf ka full form, pdf ki history, pdf file kaise banaye aur ye bi batawa ke aap apne pdf file ko kaise compress kar sakte ho aur aapko pdf ke benefits ke baare main bi bataya gaya. agar aapko es ke elawa aur bi question hai to aap muj se comment main poch sakte ho main aapko pdf ke baare main aur bi batawoga. es ke elawa agar aapko ye post achi lagi ho to app hamri blog ko subscribe kar sakte hai, aur aap hame facebook, instagram aur twitter par follow bi kar skate hai.
Thanks For Reading This Post….