Technology

Email ID kya hoti hai | IRFAN TECHNO

Hello Friends aaj ke es post main, main aapko batawonga ke Email id kya hoti hai, es ka kya kaam hota hai aur Email id ke kya fayde hai agar aapko en topics ke baare main jan na chate hai to es post ko end tak padhte rahe qunke es post main, main aapko full and final information donga email id ke baare main.

 

 

Also Read This Posts.⇓

     Email ID-Gmail ID-Yahooo ID kaise Banaye?

 

Aaj kal Email id ki zaroorat kis ko nahi sabi loogo ko Email id ki zaroorat hoti hai for example agar aap kisi company main job ke lea apply karna chate hai to aapko apne CV main apna Email id zaroor entry karna padhega jis se aapke saat rabta ho sake.

 

email id kya hoti hai
email id kya hoti hai

 

agar aap computer main internet ka use karte hai to bi aapko email id ki zaroorat padh sakti hai, agar aap comjputer ya mobile se online earning karna chate hai to bi aapko email id ki zaroorat padh sakti hai, agar aap kisi google ka product use karna chate hai to bi aapko Email id google ka product gmail ki id banani padhe gi.

es ke elawa aur bi bohut saare jagoo par Email id ki jaroorat hoti aur Email id ka sabse zyada istemaal bi aise jagoo par sabse zyada hoti hai for example School, office, college, aur hospital. 2021 main to dunya main internet ke users bohut zyada ho gya hai aur agle year 2021 main es ka istemaal es se kayi zyada ho gi. es lea ye common cheezein (email id) sabi ko pata hona bohut jaroori hai. qunke aik aise waqat aaye ga jo aapko bi email id ka zaroorat padh sakta hai es lea es es ke baare main jankari (email id kya hoti hai) aapko lena bohut zaroori hai.

abi aap yahi question karoge ke Email ID aur gmail ID main kya difference hai to es ka bi answer main daine ki koshish korga jis se aapko pata chal jayega ke Email ID aur Gmail Id main kya difference hai. es post main, main neche dye gye topics ko cover koroga.

  • Email id kya hoti hai.

  • Email id ke fayde.

  • diffrence Between email and gmail ID.

  • Email id kitne types ki hoti hai.

  • official email id kaise banaye.

  • email id meaning in hindi.

  • Email adress kaise banaye.

 

Email id kya hoti hai

Friends email id aaj kal kis ko nahi pata laga bag sabi loogo ko Email id ke baare main pata hona chaiye qunke jo bi banda internte use karta ho us ko Email id ka zaroorat padhti hai aur jo bi person job karna chate hai us ko bi Email id ki zaroorat padh sakti hai. 

apne data aik jaga se doosre jaga send karne ke lea Email id aik jariya hai jis ke throw aap aik jaga se doosre jaga assani ke saat aap apne message, Text, photos, videos, aur apne docoments ko send and receive kar sakte hai. agar aapke paas internet nahi hai to Email id bagair internet ka work nahi karta es lea aapke paas internet ka hona bohut jaroori hai.

Email id ke Fayde

 

  • Email id se aap aik Email id ko doosre email id ko ba aasani Text, Photos, Videos, aur Docoments baij sakte hai.

  • Email id ke Throw aap apne android phone ka playstore use nahi kar sakte agar aapke paas aik email id (gmail account) hai to aap aasani ke saat apne mobile main Playstore use kar sakte hai.

  • aap email id (gmail account) ke bagair google ka koyi bi product login nahi kar sakte agar aapke paas aik gmail id hai to aap aasani ke saat google ka koyi bi product use kar sakte hai.

 

Email ID kitne types ki hoti hai

 

Email id apne peghamaat ko doosro tak pochane ka aik zabardast tarika hai. aap Email id ke throw apne peghamaat ko doosro tak aasani ke saat pocha sakte hai.aab baat ati hai ke Email aur gmail id main kya difference hai to wo bi main bata deta ho.

Email ID kayi Companies ki hoti hai aap kisi ka bi company ka Email id ko free main use kar sakte hai for example google ka Gmail ID, Microsoft ka Outlook Email ID, aur Yahoo ka YAhoo Email ID lekin es main jo sabse zyada popular hai Google ka Gmail id jo Dunya main Bohut Loog use karte hai.

Difference Between email and gmail ID.

 

Gmail id bi aik Email id hai, email id ke throw aap apne messages ko doosro tak aasani ke saat baij sakte hai, Email id kayi saare companies ki hoti hai Gmail Google ka aik Product hai jis ke throw aap apne Emails aik jaga se Doosre Jaga baij sakte hai.

Official Email ID kaise banaye

Official email id banane ke lea aapke paas aik website hona zaroori hai agar aapka khood ka website hai to aapki apni Official email id bana sake hai, official email id aur aam email id main ye difference hota hai.

  • Official email id kuch es tarike ki hoti hai ( Official.irfantechno.com

  • aur aam email id es tarike ke hoti hai ( irfantechno@gmail .com)

 

Email ID meaning in hindi

Email id ka full form hai Electronic Mail doosto pahle zamane main kya hota ta ke hum aik chitte likhte te pir wo chitte hum post office main lekar jate te aur pir wo chitte kayi dino baad us bande ko receive hoti ti lakin aaj kal ke waqat main aap Electronic mail ke throw apne message ko doosro tak aasaani ke saat baij sakte hai.

Email address kaise banaye

agar aapko aik Email id banani hai to aap neche dye gaye link par Click karke aik email id bana sakte hai es article main ,main ne full and final poora tarika bataya hai mobile se email id kaise banaye ,apne laptop se email id kaise banaye, yahoo email id kaise banaye. yaha Click kare

Umeed hai ke aapko ye artical pasand aya hoga (Email id kya hoti hai) es tarike ke aur bi article padhne ke lea aap hamare blog ko subscribe kar sakte hai ya aapka es article ke baare main koyi bi sawal ho to aap comment box main ponch sakte hai main aapko answer daine ki poori koshish karoga ga.

Thanks For Reading…..

 

 

2 thoughts on “Email ID kya hoti hai | IRFAN TECHNO

  • Great work! That is the kind of info that are supposed to be shared around the internet. Shame on Google for not positioning this submit upper! Come on over and visit my site . Thanks =)|

    Reply
  • Binary options farm out traders profit from consequence fluctuations in multiple pandemic markets, but it’s important to discern the risks and rewards of these unsettled and often-misunderstood monetary instruments. Binary options survive teeny-weeny accord to accustomed options, featuring out of the ordinary payouts, fees, and risks, as well as a unmatched liquidity nature and investment process https://corretoras-opcoes-binarias.com/

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *